Aayein Naa Tere Dar Pe, Tau Jaayeinge Kahan Aur
Jannat Tere Pehloo Kii Hum , Payeinge Kahan Aur
Utthta Hain Dhuaan Dil Se, Tau Hota Hain Gumaan Aur
Behake Huye Kadam Mere, Jaaye Hain Dil-O-Jaan Aur
Bujhaao Jo Iss *Lau Ko, Tau Karti Hain *Fugaan Aur
Tere Ishq Ke Maare, Wafa, Lutayeinge Kahan Aur
Teri Bekhudi Ki Hadd Ne Kiya, Barbaad Mera Dil
*Waalah Teri Pukaar Ne Kiya, Betaab Mera Dil
Gaya Kaam Se Ye Dil, Hua *Aab-Aab Mera Dil
Dard Teri *Ataa Ho, Tau Ghayal, Jayeinge Kahan Aur
Gudgudi Shabnami *Duub Se Ho, Bheegta Hua Safar
Chaandni Mein Jugnuu Sa Ho, Chamakta Hua Safar
Aarzuon Ke Pul Hon, *Maehzooz, Laraztaa Hua Safar
Ab Humsafar-E-Mehboobi Tumsaa, Payeinge Kahan Aur
Huye Chandan Se Do Badan, Mahakne Lagi Dhadhkan
Bheegi Bheegi Si Agan, Meethi Meethi Si Hain Thakan
Teri *Zulfon-Ki-Kaj-Adaai, Mere Kangan Kii Dabi Thirkan
Lut Gayi, Marr Gayi -Ë—paras!-‘ Aap Sitam, Dhayeinge Kahan Aur
Lau = Ardent Desire
Fugaan = Cry, Wail
Waalah = Mad With Love
Aab Aab = Blushing, (Pani Pani Hona)
Ataa = Gift
Duub = Dew Drenched Grass
Maehzooz = Joyful
Zulfon-Ki-Kaj-Adaai = Hair-‘s Tendency To Curl