Aapke Khaton Ke Saath Hathon Ko Bhi Jala Lia
Kaise Kah Den Humne Dil Se Aapko Bhula Dia
Khidki Ke Pardon Ko Khamosh Dekhkar
Badi Mushkil Se Aaj Phir Se Unhe Hata Dia
Masroof Rahte Hain Ashkon Ko Rokne Me
Ek Dariya Me Kitne Samundaron Ko Baha Dia
Hanske Milta Hun Ab Apne Aap Se Main
Dard Ne Khushi Se Khushi Ko Gale Laga Lia
Insaniyat Ka Lahu Se Sana Chehra Dekhkar
Humne Masjid Me Ghar Apna Bana Lia
Bata Do Jisne Paayi Hai Manzil Sahar’e’rahguzar Ki
Humne Rahguzar’o’sahar Ko Naam Tumhara Dia
Khawish’e’khayalat’e’khwaab Jab Tadapne Lage
Humne Kasam Jhoothi Deke Tumhari Inhe Mana Lia
Jab Chhod Gaye Tum Hume Apne Haal Par
Humne Khud Ko Apne Saaye Se Bhi Hata Lia
Jism Ki Khamoshi’e’sabab Jab Rooh Poochhne Lagi
Humne Rooh Ko Pyaar Se Seene Se Laga Lia
Tere Ishk Me Humne Khuda Ko Bhulaya Tha
Teri Firaak Ne Mujhe Khud Se Roobaru Kara Dia
Furasat Na Mili Unhe Hamare Dil Ko Dekhne Ki
Humne Aaj Phir Ek Aur Taajmahal Banva Dia
Tere Sitamo Se Achhe Sitamo Ke Sitam Hain
Hamari Tanhai Ko Aapki Yaadon Ne Hansa Dia
Is Kadar Na Ro Dekhkar Noor’e’taaj Ko Tu Kaash
Anjaam’e’ishk Ne Aaghaaz’e’junoon Ko Kya Dia