Aap Ki Aawaaz Mein Kuch Nasha Hai Iss Kadar,
Ki Ab Is Nashe Ki Humein Aadat Si Ho Gayi Hai,
Karte Rehte Hain Intezaar Harpal Bas Aapki Aawaz Sunne Ka,
Ab To Yehi Hamara Khuda Aur Yehi Ibaadat Si Ho Gayi Hai,
Mujhse Poochhiye Kaise Hoti Hai Chaahat Kisi Andekhe Shaks
Se, Sirf Uski Aawaaz Sunkar,
Mere Liye To Unki Aawaaz Sunna—Khuda Ki Jaise
Mujh Pe Inaayat Si Ho Gayi Hai,
Yehi Meri Subah Hai Aur Ab Yehi Meri Shaam Hai,
Dard Ho Chaahe Koi Bhi, Yehi Meri Dava Aur Yehi Raahat Si Ho Gayi Hai,
Jeena Hai Naamumkin Iss Bin, Magar Iski Khaatir
Jeene Ko Bhi Mann Karta Hai,
Shai To Aur Bhi Hai Jahaan Mein Phir Kyun
Ek Isi Se Chaahat Si Ho Gayi Hai,
Harpal Rehta Hai Suroor Aawaaz Ka Dil-O-Dimaag Par Itna Zyaada,
Ki Paas Nahi Hain Woh, Phir Bhi Mehsoos Kar Kar Ke Ab
Khud Se Shikaayat Si Ho Gayi Hai,
Main Bhi Thi Ladki Bholi Bhali, Chulbuli Si, Ab Khoyi Khoyi Khamosh Rehti Hoon,
Aksar Tanhaayi Mein Rehna Jaise Khud Ki Ab Hifaazat Si Ho Gayi Hai,
Ye Aasaar To Sabhi Usi Laa-Ilaaj Marz Ke Nazar Aate Hain,
Haaye Allah Lagta Hai Humein Bhi Kambakht Mohobbat Si Ho Gayi Hai…………..