Aap Khud Apni Tamanna Kijeye,
Ishq Mai Ek Husn Paida Kijeye.
Dhoop Mai Khud Jaliye Paido Ke Tarah,
Dusaro Per Apna Saya Kijeye.
Ek Mai Bhe Talib-A-Didar Hu,
Mere Ghar Mai Bhee Uzalla Kijeye.
Gair Khud Ba Khud Nicha Ho Jayaga,
Khud Ko Pahele Ussai Ucha Kijeye.
Kijeye Pahle Mere Dukh Ka Ilaaz,
Fir Masihaie Ka Dava Kijeye.
Baarish-A-Didar Ruk-Ruk Kar Hai Kya,
Hum Pe Sawan Ban K Barsa Kijeye.
Jindgi Mai Is Kadar Mayus Kyu,
Uski Rahmat Pe Bharosa Kijeye.
Fair Le Muhh Dekh Kar Sab Aap Ko,
Khud Ko Itna Bhi Na Mahanga Kijeye.
Jo Khiza Mai Bhe Na Murjhaye Kabhi,
“Jaan” Aise Phoolo Ke Tamanna Kijeye.