Aankhon Mein Jiske Saara Aasmaan Hota Hai,
Aur Kadmon Mein Jannat Hoti Hai.
Khudh Ke Dhukh Ko Khushi Samajh Leti Hai,
Chupaye Rakhti Hai Khudh Ke Dard Aur Zhakmon Ko,
Aur Koi Shikva Bhi Hai To Zaahir Nahi Karti,
Hamaare Dard Mein Khudh Ka Daaman Aansuon Se Bhigoti Hai.
Bacchon Ki Khatir Burai Sare Jahan Se Mol Leti Hai,
Uski Mamta Aur Mohabbat Ko Kya Kahen,
Unki Jaan To Aulaad Ke Khatir,Qurbani Ke Liye Tayyar Rakhti Hai.
Aulaad Kaise Bhi Ho,Maa To Maa Aakhir Hoti Hai,
Chahe Phir Pyaar Kare Yaa Daante,
Agar Maarti Bhi Hai,To Chott Ussi Ke Dil Par Lagti Hai,
Aisi Hoti Hai Maa,Jisko Karte Hain Hum Har Janam Salaam.