Aankhen Kuch Aisi Hoti Hai
Jaisay Aik Jahaan Basa Ho
Meh’shar Ka Saa’maan Chupa Ho
Jaisay Biph’ra Koi Toofaa’n
Beech Saman’der Aan B’paa Ho
Aankhen Kuch Aisi Hoti Hain
Mil Jaa’en To Yoon Lagta Hai
Jaisay Waqt Ki Chalti Nabzain
Chaltay Chaltay Ruk Jaa’en Gi
Yaa Ehsaas Aisa Hota Hai
Taptay Registaan Kay Under
Kaali Badli Ik Umber Par
Goya Apna Rang Jamaa’ey
Dekhnay Waala Jab Dekhay To
Dekhtaa Jaaey Dekhtaa Jaaey
Ghor Say Dekhey Gar Koi To
Doob Kay Sochay Gar Koi To
Ik Lamhaa Aisaa Aata Hai
Jaisay Saara Jeewan Apna
Us Lamhey Kay Li’ey Banaa Ho
Aisaa Lamhaa Keh Insaan Ko
Zaat Ka Woh Wijdaan Miley
Jaisay Aik Jahaan Miley
Goya Biphra Koi Toofaan
Beech Saman’der Aan Miley