Aankh Mila Kar Phir Unhe Muskura Ke Jhukane Mein
Bahut Kashish Hai Yun Nazakat Se Sharmane Mein
Hazaaron Naghme Fiza Mein Bikhar Gaye Jaise
Bahut Kashish Hai Unko Labon Pur Sazaane Mein
Naram Kalaion Mein Pahani Hai Rangeen Churiyan
Bahut Kashish Hai Un Haathon Ki Mehndi Rachane Mein
Gulaab Se Chehre Ko Zulfon Ki Chhanv Mein Hai Chhipaya
Bahut Kashish Hai Aise Mein Chehre Ke Muskurane Mein
Faaslen Hai Itne Ki Milne Ki Suurat Na Dikhaii De
Bahut Kashish Hai Lekin In Faaslon Ke Fasaane Mein
Sharaab Bahut Buri Cheez Sabhi Jaante Hai, Lekin
Bahut Kashish Hai Peene Ke Liye Maykhane Jaane Mein