Aaj Jab Savera Hua
To Dil Ko Bada Tajjub Hua
Hum To Ho Gaye Raat Kisike
Par Na Wo Hamara Hua
Chaandni Raat Thi Kal
Chaandni Se Dhuli Hui Thi Main
Unke He Khayaalon Se
Lipti Hui Thi Main
Dil Ko Bada Tajjub Hua
Jab Daaman Tak Na Unhone Chua
Raat Hum Unke Aagosh Main They
Kadam Bhi Kuch Madhosh Se They
Dil Ki Baat Kahin Dabi Rah Gai
Lab Kuch Yun Khaamosh Se They
Dil Ko Bada Tajjub Hua
Jab Meri Peer Ka Na Unhein Ahsaas Hua
Phir Bhi Yakken Hai Mohbbat Laayegi Rang
Chaaron Taraf Hoga Pyaar Aur Hogi Umang
Ik Dor Se Wo Khinche Chale Aayenge
Thaame Unki Baahein Kadam Badhenge Sang
Kal Jab Phir Savera Hoga
To Dil Ko Na Koi Tajjub Hoga Kyonki
Unki Rooh Main Utar Chuki Hogi Ruhaani Aur Wo
Janam Janam Ke Liye Mera Ban Chukka Hoga