Aaj Humne Jaana Muhabbat Kya Hai,
Yeh Tadap Kya Hai Yeh Dard Kya Hai.
Dil Men Uthhti Teeson Ka Sabab Kya Hai,
Dhadkanon Ke Darmiyan Yeh Jang Kya Hai,
Aankhon Men Sada Uska Aks Rehne Ki Wajah Kya Hai,
Dabbe Izhaar Ko Na Pahchaan-Ne Ka Gham Kya Hai.
Aaj Humne Jaana Muhabbat Kya Hai,
Yeh Tadap Kya Hai Yeh Dard Kya Hai.
Usse Paas Na Paakar Visvise Uthhne Ka Amal Kya Hai,
Lagaaye Rakhna Uski Tasveer Ko Seene Se Maamla Kya Hai,
Bichhadne Ke Ahsaas Par Khoob Rona Haalat-E-Zaar Kya Hai,
Uski Tasveer Ko Dekh Ashk Bahaana Chaahat Kya Hai.
Aaj Humne Jaana Muhabbat Kya Hai,
Yeh Tadap Kya Hai Yeh Dard Kya Hai.
Dur Rahne Ke Khayaal Se Satpataana Bechaini Kya Hai,
Uski Qurbat Ka Dil Men Rach Bas Jana Inqalaab Kya Hai,
Judai Ke Naam Se Dil Ka Jal Jaana Maajra Kya Hai,
Har Pal Betaabi Har Lamha Yaad Aana Aashiqi Kya Hai.
Aaj Humne Jaana Muhabbat Kya Hai,
Yeh Tadap Kya Hai Yeh Dard Kya Hai.