Aaj Bhi Mera Dil Mujhse Yeh Puchta Hai,
Kya Woh Sakhs Ko Sach Mein Tujhse Pyaar Tha
Kahin Yeh Deewanapan To Nahi,
Aisa To Nahi Ke Tu Brahm Ka Shikaar Tha
Kashtiyan Tufaano Se Bhi Guzar Jaati Hai,
Par Jo Kashti Beech Safar Mein Gum Hui Thi,
Aisa To Nahi Ke Tu Ussi Kashti Pe Sawaar Tha
Yeh Baat Sach Hai Ke,Usne Kabhi Chaahat Se Inkaar Na Kiya,
Par Inkaar Na Kiya To Kya Hua?
Kya Uske Taraf Se Kabhi Ikraar Tha
Nazro Ke Teer Ka Khel Kabhi Hum Samaj Na Paaye
Kuch Alfaazo Ke Liye,Yeh Dil Hamesha Bekaraar Tha
Khud Se Kabhi Sawaal Karta,Khud Ko Jawaab Deta,
Sachai To Yeh Hai Ke,In Sawaal-Jawaabo Se Khwaish Bezaar Tha
Aaj Bhi Uss Mod Ko Takte Hai,
Jis Raah Pe Bichde Te Kabhi
Sochta Hoon,Kabhi Door Uss Raah Se Woh Nazar Aaye,
Aur Kahe Haan Mujhe Bhi Tujhse Pyaar Tha