Aaj Bhi Dikhe Hai Woh Chehra Suhana
Tere Hothon Ka Mere En Labo Ko Satana
Aankhen Uthakar Yun Sharma Ke Jaana
Woh Bahon Mein Lekar Mohabbat Jataana
Hathon Ko Hathon Mein Lena Qayamat
Woh Saari Khudayi Tujhi Par Lutana
Karna Woh Aanjani Rahon Ki Baatein
Dekh Kar Aasman Mein Woh Taare Churane
Rakhna Phir Unhi Ko Ek Sapna Banakar
Mere Naino Se Tere Dil Ka Tarana
Woh Aab Bhi Hai Zinda Teri Chat Ki Raatein
Woh Nayaab Kisse Mohabaat Ki Baatein
Le Ungliyon Mein Tere Dupatte Ka Kona
Tera Phir Sharma Ke Aanchal Chudana
Mere Chehre Ko Duppate Se Dhak Kar
Aapne Labo Ko Mere Galo Tak Lana
Kaise Kahun Mein Na Samjhoge Logo
Aasaan Nahin Aisi Baatein Bataana
Woh Aab Bhi Jaise Dekhti Hai Yun Mujhko
Hai Usi Ko Aata Hai Dil Ka Lubhana
Phir Aankh Num Hai Ae Meri O Yaaron
Phir Usne Kiya Hai Is Dil Ko Deewaana
Aaj Bhi Hai Zinda Woh Waafa Ki Kahani
Woh Masti Mein Mast Ka Khuda Ko Bulana
Na Kehna Mujhko Tum Pagal Ae Logo
Mein Hoon Dewaana Kisi Ki Ek Jhalak Ka Deewana