Aagar Guftagu Ka Aghaz Mein Kartaa
Jharaktee Bigadtee Magar Maan Jaati
Jo Mein Barh Kar Us Kay Qadam Rok Leta
Woh Paaon Patakhtee Magar Maan Jaati
Agar Chaand Kaliyaan Usay Paish Karta
Woh Daman Jhataktee Magar Maan Jaati
Mein Kehta “Chalo Tum Ko Ghuma Kar Laoon”
Akartee Jhijhaktee Magar Maan Jaati
Jo Mein Barhta Usko Galay Sey Laganey
Jhi-Jhakti Simattii Magar Maan Jaati
Jo Mein Husan Key Us Kay Tareef Karta
Woh Baahen Jhataktee Magar Maan Jaati
Woh Meri Shokh Batoon Par Khamosh Rehti
Dopatta Kutertee Magar Maan Jaati
Jo Mein Us Ko Taktaa … Zameen Ko Woh Takti
Anguthaa Ragarrti Magar Maan Jaati
Woh Nazdeek Aatee … Mein Daman Pakarta
Haya Sey Simatti Magar Maan Jaati
Jo Peechay Say Aanchal Ka Phanda Banata
Bohat Tilmilaati Magar Maan Jaati
Woh Ghussay May Jo Mujh Say Naraaz Hoti
Bikharti Tarapti Magar Maan Jaati
Jo May Bahoon Mein Usko Ghair Leta
Bohat Kasmasati Magar Maan Jaati
Mein Kehta Keh Parhnay Ka Choro Bahana
Woh Safhay Palatti Magar Maan Jaati
Jo Kehta Keh “Rahon Pe Chaliye Sambhaal Kar”
Uchaalti Matakti Magar Maan Jaati ….