Aab Unhe Kahiye Bhi To Kya Kahiye
Woh To Mehboob Hai Jisme Gila Nahin
Tej Suraj Si Nikalti Dhoop Hai Jaise
Dhoop Se Magar Kisi Ka Dil Jala Nahin
Woh Shaam Bhi Hai Bheegi Sardiyon Ki
Halki Si Mehak Gulshan-E-Bahar Bhi Hai
Aasmanon Mein Jo Phele Ho Pholon Jaise
Tim Timati Sitaron Ki Bauchar Bhi Hai
Aur Hai Usme Hi Ramte Mere Tasavur Bhi
Mere Khawbo Khayalo Ka Woh Sansaar Bhi Hai
Hai Wahi To Jise Mein Har Pal Mehsoos Karta Hoon
Jo Dil Mein Hai Woh Dhadkano Ki Tar Bhi Hai
Woh Samay Bhi Hai Kabhi Jo Saath Mere Hota Hai
Woh Hai Taqdeer Bhi Hokar Bhi Mere Saath Nahin
Aur Kya Kahiye Aye Logo Aab Samajh Lo Khud Hi
Yeh Meri Mehbooba Nahin Yeh Meri Zindagani Hai