Aa Yaar Milaun Tujhe Apni Mehbubaa Se
Aa Tujhe Milaun Mein Apni Dilrubaa Se
Karvaun Pehchaan Apni Sapno Ki Raani Se
Pariyon Si Khoobsurat Meri Zindgaaani Se
Hain Banaaya Khuda Ne Usse Badi Phursat Se
Khilti Hain Duniya Meri Uski Muskuraahat Se
Haara Dill Maine Uski Saadgi Pe Fidaa Hoke
Ruk Jaayengi Meri Saansein Usse Judaa Hoke
Hum To Karvate Badal Te Reh Gaaye Raaton Ko
Hai Durr Woh Kaise Samjhaoon In Dhadkanon Ko
Ehsaas Uska Sadaa Rehta Mere Dil Ke Kareeb Hai
Dekh Usko Sochta Hoon Khaas Meraa Naseeb Hai
Hai Aasman Ka Chaand Meri Humnafaz Mere Liye
Kya Aayegi Woh Dharti Par Utar Ke Mere Liye
Kaise Bataaon Hai Mujhe Kitna Pyaar Usse
Jee Chaahta Hai Dekhta Hi Rahoon Yaar Usse
Basaa Le Mujhko Woh Jheel Si Apni Aankhon Me
Lakeer Ek Uski Bass Reh Jaaye Mere Haathon Me
Naa Kuch Kahen Hum Dono Hi Apne Honthon Se
Karen Baat Jod Dhadkanon Ko Dhakkanon Se
Jaate Waqt Jo Aa Lage Woh Mere Seene Se
Jee Chahe Rok Loon Usse Kissi Bahane Se
Rahe Jaltaa Yeh Ehsaas Humaari Mohabbat Ka
Ho Andaaz Nirala Kucch Dilon Ki Lagaavat Ka
Ey Pawan! Suna De Usko Mera Dil Ki Daastan Tu
Aur Le Ja Sang Apne Khushboo-E-Gulistan Tu
Zulfein Uski Bikhrein, Andhera Mere Shehar Me Ho
Roshan Uske Pyaar Se, Har Kona Mere Ghar Me Ho
Mil Jaayega Humko Humara Pyaar Mere Yaara
Hai Dua Rab Se Mil Jaayein Bichde Dil Dubaara