Aa Ke Yahan Jo Baat Jaani Wo Inki Dosti Hi To Hai
Dosti Jo Na Dekhi Hai Maine Na Hi Kahin Suni Hai
Wo Hain Naam Ek Dooje Ke Ek Dooje Ki Pehchaan Hain
Humraaz Hain Ek Dooje Ke Ek Dooje Ke Ghamgusaar Hain
College Main Guzaara Hua Waqt Unka
Canteen Main Baithna Bunk Maarna
Shayari Ki Mehfilain Sajaana
Wo Hansna Unka Wo Gaana Unka
Dosti Unka Tohfa Hai Dosti Ke Liye
Wo Is Jahan Main Dosti Ki Misaal Hain
Aaj Waqt Ki Maar Ne Hai Door Unko Kiya
Wo Mayoos Ghamgeen Aur Lachaar Hain
Par Ho Gaye Hain Jo Wo Alag To Ye Na Samajh Baithna
Ki Khatm Ho Gayi Dosti Unki Ya Ho Gaye Hain Wo Juda
Faasle Na Hon Jab Dilon Main Koi Faasla Nahin Hota
Hain Wo Dilon Main Ek Dooje Ke Nahin Hain Wo Juda
Wo Aaj Apne Ghar Chala Gaya Par Ek Din Laut Aayega
Laaye Jaldi Se Wo Din Khuda Se Meri Hai Dua
Dekh Sakti Nahin Kabhi Main Apne Dost Ko Itna Udaas
Khudaya Milade In Doston Ko Jald Yahi Hai Meri Faryaad