Hothon pe mohabbat ke fasaane nhi aate,

Saahil pe samundar ke khazaane nhi aate,

Palkein bhi chamak uth’ti hain sote mein hamaari,

Aankhon ko abhi khwaab chhupaane nhi aate,

Dil ujrre huee aik saraaye kee tarah hai,

Abb log yahaan raat bitaane nhi aate,

Yaaro, naye mausam ne yeh ehsaan kiye hain,

Abb yaad mujhe dard puraane nhi aate,

Urrne dou parindon ko abhi shokh havaa mein,

Phir laut ke bachpan ke zamaane nhi aate,

Iss sheher ke baadal teri zulaf ki taran hain,

Yeh aag lagaate hain,bujhaane nhi aate,

Ehbaab bhi ghairon kee adaa seekh gaye hain,

Aate hain magar dil ko dukhaane nhi aate,