Ho sakay to pyar ka aitbar kar k dekhna

Phir laffzon se iqraar kar kay dekhna

Jonon ki hadd se agay nikal jaen gay

Fa’khat aik bar hum se izhar kar k dekhna

Hota hai dil kiyun bai’tabb-o-bai’qaraar

Ik lamhay ko kabhi intizar kar k dekhna

Hijar main kattey hain shab-o-roz kis tarah

Ghari ki tik tik shumar kar k dekhna

Teray intizar main umar bhi ganwa dain

Ik bar mera “INTIZAR” kar k dekhna….