Hnsata tha mujhko to phir rula b deta tha. Kar k wo mujh se aksar wade bhula b deta tha. Be,wafa tha boht magr acha lagta tha dil ko. Kabhi kabhi baten mohabat ki suna b deta tha.Tham leta tha hath mera kabhi youhi khud. Kabhi hath apna mere hath se choura b leta tha. Kabhi be,wakt chala ata tha milne ko. Kabhi qeemti pal mohabat k ganwa deta tha. Ajab dhoop chaon sa mzaj tha us ka ‘WASI’. Attbar bhi krta tha nzron se gira bhi deta tha.