Zubaan Hi Sirf Ek Zariya Nahin
Jo Aap Shabdon Ko Samajh Paayein Gain
Kabhi Aankhon Main Jhaank Kar Dekhiey
Hazaroon Alfaaz Khud Ba Khud Bekhar Jayein Gain
Dil Ko Addat Si Ho Gai Hai Choot Kahanay Ki
Bheegi Palkoon K Sang Muskuranay Ki
Kaash Anjaam Hum Pehlay Say Jaan Jaatay
Tu Koshish Bhi Nahin Kartay Dil Laganay Ki
Khamoosh Raat K Pehloo Main Sitaray Nahin Hotay
In Rukhi Aankhon Main Rangeen Nazaray Nahin Hotay
Hum Bhi Na Kartay Parwah
Agar Aap Itnay Pyaaray Na Hotay
Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lagay
Koi Achha Bhi Is Qadar Na Lagay
Aap Ko Dekha Hai Bas Us Nazar Say
Jis Nazar Say Aap Ko Nazar Na Lagay
Khubsurat Hai Zindagi Khuwab Ki Tarhan
Janay Kab Toot Jaye Yeh Kaanch Ki Tarhan
Kisi Moor Pay Mulaqaat Ho Gai Humari
Tu Aankhain Mat Moorna Anjaanaon Ki Tarhan.