Zaroori toh nahi ke jeene ke liye koi sahara ho
zaroori toh nahi ke hum jis ke hai woh bhi hamara ho
kuch kashtiyaa dhoob jaaya karti hai
zaroori toh nahi ke har kashti ke liye kinara ho
************
Jee lete hain Koi humein agar kahe bura,
dua dekar usse honton ko hum see lete hain
Dard ho chahe kaisa,
zehar yeh chupke se hum pee lete hain
************
ek woh din tha jab tere nazare mere aankhon se mile
phir woh din aaya jab mere ankhon se dard ka aansoon bahe
aaj woh din hai jab mere toote dil se lahoo hi nikale
kab woh din aayega jab mere seene se tere dil nikelenge
************
Ban sahara be-saharo ke liye
ban kinara be-kinaro ke liye
jo jeeye apne liye toh kya jeeye
jee sakke toh jee hazaro ke liye
************
Dard ko na dekhiye dard se
dard ko bhi dard hota hai
dard ko bhi zaroorat hai pyar ki
aahir pyar mein dard hitoh hamdard hota hai
************
Iss dil ko kisi ki aahat ki aas rehti hai
nigaah kokisi soorat ki pyaas rehti hai
tere bina zindagi mein kami toh nahi
phir bhi tere bina zindagi udhaas rehti hai
************
Wo lamhe humein yaad na rahe toh kya hoga
tere siva kuch bhi aabaad na rahe toh kya hoga
aisi hai yeh dil ki majbooriyaan kaise batau
inn saanson mein ab tera naam na rahe toh kya hoga
************
Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye,,
aag aise lagaye ke paani se bhi na bhuj paaye,,
Aaj bhi rote hain unhe yaad karke…
JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE…….. ……..
************
Duao ki bheed mein ek dua hamari
jis mein maangi hai humne har khushi tumhari
jab bhi aap muskuraaye dil se
samjho dua kabool hui hamari
************
Mere dil ki yahi thi khwahish tujhe apna bana sakku
dard-e-dil ka haal sunna sakku
tum ne kabhi dekha hi nahi meri taraf pyar se
mauka mila hi nahi ke mein dil ki baat tumhe bata sakku
************
Judaai ke yeh lamhe kitne ajeeb hai
tu door ho ke bhi mere kareeb hai
hum ek ho kar bhi anjaan hai ik dooje se
yeh kaise hamare naseeb hai
************
Teri Qurbat mili ..magar tera Sahara na Milaa..
Qareeb puhanch ker bhi Sahil ke Kinara na Mila..
Dekhta Raha Gaur se mai hatheli apniii
Magar Mujhay apni Kismat ka Sittara na Mila…
************
yaado main kabhi aap bhi khoye hoge
khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge
maana hasna hai aadat ghum chupaane ki
par haste haste kabhi aap bhi roye hoge-hassan ali
************
rooth gaya hai mujhko manane wala
ab koii nahi hai nakhre uthane wala
par jaane kyu sochta hai ye khula darwaza
shayad rasta bhool gaya hai aane wala
************
ansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo…
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo…
dunya kisi ka zakham nahi samjte hai…
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo-hassan ali…
************
Kisi na kisi pe kisi ko aetbaar ho jata hai,
ajnabi koi shaks yar ho jata hai,lnb