Ye dil udaas hai bahut
Ye dil udaas hai bahut koi paighaam hi likh do
tum apna naam na likho chalo gumnaam hi likh do
Meri kismat me gham-e-tanhai hai lekin
tamam umr na likho magar ek shaam hi likh do
Ye janta hoon ke umr bhar tanha mujhko rehna hai
magar pal do pal, ghadi do ghadi mera naam hi likh do
Chalo hum maan lete hain saza ke mustahiq thehre
koi inaam na likho, koi ilzaam hi likh do
———— ——— ———
Hamare Jaise Nahi
Thaame Rakhna Haath Hamara Aise Hi
Dete Rehna Saath Zindagi Bhar Aise Hi
Yu To Milenge Zindagi Mein Chahne Wale bahut
Milenge To Bas Hamare Jaise Nahi
———— ——— ———
Zindagi
Zindgi se hamne kabhi kucch chaha hi nahin
Chaha jise bhi kabhi paya hi nahin
Jise paya use kucch yun kho diya
Jaise zindgi me kabhi koi aaya hi nahin
———— ——— ———
itna intzaar hai
ik baat puchte rehte hain hum,
bhagwan se fariyaad mein,
aisa kya hai unki har baat mein,
kyun aati hai bar bar woh meri yaad mein,
kya bhagwan yahi woh pyar hai,
jisko milne ke liye kiya,
hamne itna intzaar hai.
———— ——— ———
kuchh mausam sapne lagte hain
shabnam ke katron mein kaise khiza ke rang jhalakte hain
phoolo ke chehro se kushboo ke moti bikharte hain
hawao ki rawani se aati hai sargam kar rimjhim
jab pani ke lehron se voh atkheliya karti aati hai
pairon ke kitaron mein phir thandak bansane aati hai
jab suraj se mil kar sham suneheri ho jati hai
kuch mausam sapne lagte hain kuch mausam apne lagte hain
par dost mile tum jaisa to sub mausam sache lagte hain
zindgi ki tanha lehron mein jo dosti ke moti pirote hain
voh phoolon ki traha dil ki rahon ko mehkate hain
———— ——— ———
dil dhadakta hai usi ke liye
mana ki ham bhula nahi paate unhe ek pal ke liye
par yu roya bhi nahi jaata ek pal ke liye
mila jo yu wo milkar bichhad gaya zindgi ke liye
unhe dil se nahi lagaya jaata dillagi ke liye
mana ki ye baat har kisi ko lagti hai sacchi
par har ajnabi nahi hote jamane mein bhulane ke liye
yu to khuda se jo maanga wo paya dua mein
par har dua kahan kabul hoti hai har kisi ke liye
wo aayega na lautkar fir kabhi ye jaante hain
fir bhi dil dhadkta hai aaj bhi usi ajnabi ke liye
———— ——— ———
Jaan
Hasdi Rahe Hamesha Meri Jaan
Kar Dewaan Jind Main Ohton Kurbaan
Dekh Ke Lok Khush Ohnu Ho Jande Ne Hairaan
Ki Banke Oh Rahegi Hamesha Sadi Jind Jaan
———— ——— ———
Dua Rab se
Dua hai us rab se kabhi tumhain dard ka ehsaas na de
Pal koi aisa na guzre jab mushkilo me ham saath na de
Kisi saans me ham tumko bhule, rab hame aisi saans na de
———— ——— ———
Phir Yaad Aane Lage
Muddaton baad dekha unhe, Hosh kaise thikane lage
Ashq palko par