umad ghumad kar badal chaaye
chanchal hawaon nay daud lagaii
pagal mera man mayura
hawa usko dekh pakad na paayi
mahak uth ti hai khayalon mein
meray mann aangan ki phoolwaari
khili hain anganeet champa chameli
gaalon nay gulabon ki rungat churaii
udtay gesu badal say hawa mein
badalon nay rimjhim ki ladi barsaii
bheega anchal dharti ka barkha mein
kaliyaan phool ban kar muskaii
aisay mein …
jhoom uthi ek kali yovan ka nikhaar liye
garm hawaon nay chooma usko
paagalpan bhara pyaar liye
jhuki tahni magar bikhari na kali
chaaya tha ek badal preet ki bochaar liye
rimjhim giri budain pyaar ki
khilnay lagi kali rangon ki bahar liye
khushboo say mahak uthi phoolwari mann ki
badal ki chaah ka uphaar liye
kaisay batalaaye kali badal ko
anuraag bikhra rahi woh badal kay liye
khili har pankhudi kali ki
preet ki bahaar liye
badal bhi jhuma dekh kar kali ko
phool ban gayi kali badal ka pyar liye…
Archana