nt”>

Aayiye sham utar aayi hai
Roshani ghoonghat mein samayi hai;
Thak chuki aankhein intezar kar
Zulfon si mahkti ghata chchayi hai.
Raah bhi khuli-khuli hai
Muskrati huyi amrayi hai;
Sarsarate patton mein halchal hai
Hawayein naya sandesha layi hain.
Khushboo machalne lagi hai
Koyal geet naya gungunayi hai;
Runjhun-runjhun si bajne lagi payal
Chandani pass kahin utar aayi hai.
Aankhon mein chcha gayi nami
Phool per shabnam bhi sharmayi hai;
Sitaron ki mahfil hai sajne lagi
Aayiye palkon ne dee Duhayi hai.
Dhirendra Singh.