Mujhe meri wafa ka sila khoob mila hai
Wo khuda gareebo ko kabhi maaf nahi karta
Uske yaha pe der hai andher nahi hai
Dekhi hai humne der bhi andher bhi dono
Hamne chaman ko seecha apne jigar lahu se
kaate hi uge fir bhi jigar cheer ko mere
Ab tak toh na kubool hui koi bhi dua
Ab maut maangi hai dekhe kya hota hai
Ek mulakaat ki aarzu me kaat rahe the umr
Tumne khabar bhija di ye bahana bhi ab gaya
Koi sarfarosh hoga jo tujhse nazar milaaye
Hum toh darvesh hain teri chaukhat choomte hain
Abhi se kyu jalate ho tum charag ghee k
Inhe sambhal rakho meri kabr pe andhera hoga
Jab bhi aasmaan tutega mere uper hi girega
Uper wale se rista hi kuch aisa hai hamara
Regards
Ashutosh Sharma