meri jaan wapsi ka aik rasta rakhna perta hai
taluk toot bhi jae tu rishta rakhna perta hai
jinhain hum dil ki gehraion se sacha piyar kerte hain
jab un se baat ho tu khaas lehja rakhna perta hai
humari rooh ki hiddat ko jo na serd perne de
humain apne badan main esa shola rakhna perta hai
tujhe ger apni batain na sunaon!tu kahan jaon?
k tere samne iss dil ka shisha rakhna perta hai
sada aabad rakhe jo teri yadon ko iss dil main
k ane saath ik esa bhi lemha rakhna perta hai
humare dil main chahe chand jesi lakhon galian hon
andhere k liy bhi aik rasta rakhna perta hai
bhale jitne bhi dukh,jitne bhi gham hum ko milain
mizaj apna her ik soorat shugufta rakhna perta hai