Lamhe pyar ke…………..
Adure reh gaye khwab ke………
Dil ki aag ko maine bujha dala,
Apne hi pyar ko maine daba dala.
Jise karta tha pyar dil aur jaan se,
Kho diya use apne hi shaan me.
Karte the dono ek dusre se pyar,
Per kisi ne na kiya tha kabhi bhi izhaar.
Pyar ki gehrai badhti hi chali gai,
Kabhi khushi kabhi gam deti hi chali gai.
Na chhutne ki kasme khai thi dono ne,
Sach me ek gehra sa pyar tha hum dono me.
Ab waqt aaa gaya tha dono ki judai ka,
Kuch adhuri batei,kuch adure lamhe kuch adhure khwabo ka.
Tha kuch aisa dono ke bich,chah kar bhi juda ho na paye,
Dono ek dusre ki baho me phir nazar aaye.
Pehle ki tarah mulakate ho gai thi kam,
Phir bhi mohabbat nahi hui thi kam,
Mulakate hoti thi tanhai me kabhi kabhi ,
Per na khushi mili,na yaadein mili hasi mili kabhi nahi.
Bhadta hi chala gaya fasla samay ke sath sath,
Dekha na hum dono ne tha ek dusre ka jaat paat,
Pyar tha ya lagaw tha samjh na paya tha main,
Jab duri badhi samajh me aaya,kuch to tha yaar,
Salo bhar chalta raha ye dasta is kadar,
Ghuma karte the hum dono is duniya me der badar.
Per shayad khuda ko bhi manjoor na tha sath hamara,
Tanha rehna hi tha dono ka sahara,
Ab duriya badh rahi thi ,pyar bhi ho raha tha kam,
Aaiyashiyo ke paimano pe chadh gay aur pine laga mai gam,
Socha chhod dene mein hi bhalai hai uski ,
Kyuki mai who nahi tha use talash thi jiski.
Kuch is kadar ka mahaul maine taiyaar kiya,
Jitna pyar karta tha usse bhi jada nafrat ka izhaar kiya.
Badh gayatha fasla ab hum dono me is kadar,
Baat kana bhi use manjoor na tha ,ho gaya mai is kadar.
Socha tha sirf meri hai,mere baad koi nahi,
Per soch hai apni apni ,mai to kuch bhi nahi.
Dil pe patthar rakh ke maine use chhod diya,
Badle me usne bhi mere pyar ka sath chhod diya.
Meri lafz aur vishwas thi who,
Per toota bhi to viswaas hi hai.
Apne aasuo ko maine kalam se utara,
Dur reh ke bhi pass rehne ka ehsaas dilaya.
Aisa kuch bhi na tha jo chhupaya ho maine,
Dil ki her ek baat batayi thi usko.
Koi samjhe ya na samjhe mujhe,
Per mujhe samajhne ka ehsaas dilati thi who.
Kaise bhool sakti hai who pyar bhari baatein,
Us tanhai si SURABHI me dher si mulakate.
Dil ke ek kaune  me ek aas si thi,
Ek pyas ,ek khwab aur ek saas si thi.
Jab bhi chahunga who pass mere hogi,
Kisi ki ho nahi sakti who to sirf meri hi thi.
Hoti thi pyar wali baatei kalam aur kagaj se,
Ek sharam si thi hum dono ki aankhon mai,
Baatein to ye ho gai thi purani ,
Likhte hai baatin jo ab hai hamari.
Sath chhudane ki koshish ki maine bahut,
Per phir bhi na chhoda usne mujhe, pyar tha is kadar,
Waise to dost hi dost ka sath dete hai,
Mere sath bhi aisa hi hua.
Bharosa tha jispe mujhe sabse jada,
Usi ne kar diya dil mera aadha.
Alag karwa do mujhe mere sanam se ye kaam diya use maine,
Bakhubi se mere yaar ne sath nibhaaya mera,
Per na sochi hui bhi baate anjaam le leti hai,
Mere sath bhi kuch aisa hi hua.
Mujhse door karwane ke dermayaan ,
Na jane kab dono ho gaye ek dusre pe meherbaan,
Kaano pe viswaas na hua,
Aakhon ko bhi mai deta raha dhokha,
Per sach to sach hai,jald hi malum pad gaya ki dost ne bh