Kya chehra tha ki aankho se dekha hajar bar
Fir bhi najar ko hasrate didar rah gayi
Uske chehre pe nakabo ka asar lagta hai
Ek pathar hai jo bahar se gira lagta hai
Yah damakta hua chehra ye nashili aankhe
Chandni rat main maykhana khula ho jaise
Bade sidhe sadhe bade bhole bhale
Koi dekhe iss waqt chehra tumhara
Kha ke bala gesu jo chehre pe paresan honge
Dekhne wale inhe dekh ke aur bhi hairan honge
Chehre pe wahi gam wahi aankho main nami hai
Yah gardish daura, kabhi rone se thami hai
Pighal ke rah gaye shama ke chehre pe kuchh aansu
Na jane kisne poochha tha ki parwane pe kya gujregi
Chehre dhua-dhua tha rangat udi-udi
Jab bhi tumko dekh ulfat bhari nazar thi
Tera chehra kitna suhana suhana lagta hai
Tere aage chand purana lagta hai
Aankhe hai jam, lab hai chaman chehra aaftab
Baitha hua hai koi sajaye hue shabab.
avinashkundan368@gmail.com
9910089467