kuch lamhe yaadein chhod jati hai,
khushi aur ranj ka ehsaa chhod jati hai,
apni hi najro mein gir jate hai hum is kadar,
najre milana un yaadon se ek chunoti ban jati hai,
sukun sa milta hai batan apne pyar bhare lamhoko
per kaap sa uthta hai dil,soch ker un halato ko.
koshish ker ke bhi kisi ko na samjha pata hu mai apne us raat ko,
chhodna na chaha tha maine us pyar bhare sath ko.
ab bahut ho gai baatein us yaar ki,khul ke batata hu mai raaj us raat ki,
ja rahe the hum safar pe rishto ke ek gaanth mein,
toot ke reh gaya woh rishta sard ki us raat mein.
kis tarh se pahal hui kuch samajh na mai paya,
na jane kis kalyug ke shaitaan ko maine apne andar paya.
ji to chaha ker lu puri ,barso purane khwaab ko,
ruk gay mai dekh ke bhole se uske shabab ko.
garam ho rahi thi saasein,pass hone ke uske ehssas se,
dil mera jhoom utha tha ,nikalti si khusboo uske saas se.
halchal si hone lagi thi ab humare jism mein,
do jane ek hue the us sunahri raat mein.
koshise karta raha mai paa lu apne pyar ko,
per man nahi sunta tha mere dil ke us pukaar ko.
yaar bhi taiyaar na thi,pura karne mein mere is khwab ko,
per shitaan andar ka mere sulgata raha us chah ko.
jada nahi per bahut kuch aisa hua us raat ko,
yaadein bana ke rakh li maine us ankahi si baat ko.
pakhwde bita diye maine,pane ke liye us husn ko,
per sharm thi un aankhon ko,addbhare us jism ko.
hua karti thi pahal kali ghata ke chhaw mein,
sharma gaya tha chand bhi dekh ker us raat ko,
bhatak sa gaya tha mai unkahe rishte ki talash mein.
na najar aata tha kuch bhi deewanepan  ke bhook mein.
behek sa gaya tha mai shaitan ki us bhook se.
dil ki baatein juba pe lane mein aati thi sharam,
yaad aa jati thi usko rishte wale sabhi karam.
na to uski pahal thi,hui bhi na baad mein,
mai hi tah jo de raha tha tha apne sapno ko anjaam mein.
ab judai ho rahi thi,baat bhi ho gai thi kam,
na to ab haya thi,pi raha tha mai woh gum
bicchad chuke the hum parwane bima pura kiye us khwaab ko,
ek adhuri kasak si thi pura karne ki us khwaab ko.
gujar gaya hai arsa ,baatein hue mere yaar se,
dekhanahi hai yaar ko maine abhi tak pyar se,
ban ke reh gaya hai rishta,ankahe ehsaas ka,
najre nahi mil payengi ab kabhi un aank se.
kash chal jata mai picche samay ke saath saath,
na suhani safar karta ,na janm hoti us unkahe se sath ki……….
santosh(maddy)……..