Kitabon mein mere fasaane dhundhte hain
Nadaan hain, guzre zamane dhundhte hain
Jab woh the, talaash-e-zindagi bhi thi
Ab to maut ke thikane dhoondhte hain
Kal khud hi apni mehfil se nikala tha
Aaj hue se diwane dhundhte hain
Musafir bekhabar hain teri aankhon se
Tere shahar me maykhane dhoondhte hain
Tujhe kya pata E-sitam dhaane wale
Tere diye zakhmon me pyar ke nazraane dhoondhte hain
nikal aate hain ashq hanste hanste
hum to rone ke bahane dhoondhte hain