Kis darja tujhko mohababat hai meri ma
Tu to khuda e pak ki rahmat hai meri ma
Chhupna, satana, ruthna, daman se jhumna
Naraj mat ho ye meri fitrat hai meri ma
Chehre main kya na hoga tujhe kya batau main
Kadmo main tere jab jananat hai meri ma
Apna lahu pilake meri parwarish kiya
Iman ab mera teri khikmat hai meri ma
Teri dua se mujhko mila hai har ek mukam
Jo kuchh mila sab teri badaulat hai meri ma
Tujh par nisar hai mere lahu ki har ek bund
Tujhse hi meri shohrato izjat hai meri ma
Ab kya baya kare ‘Avinash’ iski ajmate
Ek kaynate rahmato ulfat hai meri ma.
avinashkundan368@gmail.com
9910089467