Jo kal tha usa bhula kar dekho,
Jo aaj hai usa jeekar dekho,
Aane wala pal khud hi sawar
Jaayaga zara iss zindagi se
Dosti karke to dek ho
Dilon ki daastan use kahan kubool the,
Meri wafayein uske liye fizool the,
Koi aas nahi lekin itna bata do,
Maine Chahe thi use kya ye meri bhool thi?
Majburi kya thi unhone bataye to hoti,
Judai ki baat yun sunayi na hoti,
Apne khabar ki Mitti b de dete unhe,
Kash wo mere maut ki khwahis jataye to hoti
Mohabbat meri unko bekara karegi,
Har dhadkan unke hi intezar karegi,
Humne to unse aisi mohabbat ki hai,
Ki bewafai bhi 100 baar soch ke vaar karega
Is dil me uske liye itna pyar rahega,
Ke waqt bhi uska gawah rahega,
Uska pyar shayad kisi aur k naseeb me ho,
Uski yaadon ka haqdar rahega
Zara si bhool khata ban gayi,
Wafayein bhi ab saza ban gayi,
Dil liye khela aur tod diya,
Meri jaan chali gayi aur unki ada ban gayi
Khush hain wo hame yaad na karke,
Hans rahe hain wo hame ruswa karke,
Ye hansi unke honto se kabhi na jaye,
Khuda kare wo hamari MAUT Par Bhi Muskuraye