jaane pehchaane raaste sei gujarte hain har roj khyalaat mere
jise dekhna chahe ye dil wo surat deekhai nahi deti
khare hain basti kei chaurahe per ghire hum doston mei
jinhe dekhne ko tadapti hai nighaye, wo surat deekhai nahi deti
dost dete hain duhai aajkal hamari madhoshi ka
jiske liye madmast hain hum, wahi surat deekhai nahi deti
umar ki aakhiri seeri per khare hain ab to
jise kehna chahe apna bas wahi ek surat deekhai nahi deti
Anu