Intezaar to karein ke jab vo aaye bhi
Bhool jaayein hum chhode jo mere saaye bhi
Kal subah yeh zindagi jo na rahi
Tamaasha dekhege apne aur paraaye bhi
Vo gair hai to gair ban-na bhi seekh le
Yaadon mein aake baar-baar aazmaaye bhi
Kehta hai duniya mein chhod dega hume
Mud ke dekhe baar-baar, ghabraaye bhi
Yeh kaisa khuda hai mere dosto
Khud hi lagaaye aag, khud hi bhujaaye bhi
Shikwa bhi to kya karein hum kisi se
Khoya ik humsafar to lakhon rehnuma paaye bhi.