Har ghadi roshni charago se ho mumkin nahi
andhere unki kismat me bhi der raat hote hain
khayaal noor ka paya tha humne khwaabo me
andhere raaste tabeer bante dekhe hain
kami sukoon me paayi na humne raato ko
yahi wo pal hai sitare bhi tootte dekhe
ajab khayaal se raaton ko mujhko aaate hain
kahi pe neend bhi uski toh so gayi hogi
jalaana jism ko mere jaha amaavas ho
andheri raat me kuch pal ko roshni hogi
shama bujha di der raat ko humne saathi
mujhe pata tha wo aayenge na andhere me
kabhi sukoon na paaya tha humne raato ko
mera ye dard unki jaan ka dushman kyu kar
koi khwahish na rahi baaki us raat k bad
khuda se or kya maangu ab maut k siwa
huye jaleel jo din ko toh khair jane do
tamasha raat ka ab yu na sabko aam karo
har ek raat ko lagta hai jaane kyu mujhko
yahi wo raat hai kehte hain katl ki jisko
Regards
Ashutosh Sharma
S.E. Indore
mail at: ashunaval@yahoo.co.in
+91-97552-27330