Hamari nazron Me aur dil me
yun he samaye raho to bas hai
Nahi hai Gairon se koi matlab
ju tum hamare raho to bas hai,
kaha ka zoh-do amal wa-taqwa
faqat mohabbat ka hai sahara
Jaha sambhala hai tumne ab tak
wahi sambhale raho to bas hai,
nahi hai dawa-e-qabiliyat
Mohabbat tumhari hamari izzat
Jala kare mujse jalne wale
tum muskuraye raho to bas hai,
Tera adna hai ek sag-e-dar
hussaini kehte hai jis ko aksar
tum apne dar par he ta qayamat
use baitha-e-raho to bas hai…