from bottom of my heart….
By -Dream Boy
suna hai nazdeekiyaan ehsaas dilati hain..
dooriyan betaabi badhati hain..
par,
jab paas hote hain woh to hum betaab rehte hain…
door jaane par kyon unka ehsaas karte hain…
samandar ko tha garoor gehraayi par apni..
aasmaan ko tha garv oonchaayi par apni…
sharm se zaar zaar ho gaye dono….
jab unhe bataayi humne dosti apni…
aye khuda aaj tujhse iltaza hai meri…
tu rakhna mere dost ko itni hifazat se..
na gamo ka ho saaya us par..
rahe har pal khushiyon ka dera…
kyonki bahut naazuk sa hai yeh dost mera…!!!
dhoond raha hoon main kahin…
mujhe us cheez ki talaash hai…
kho gayi hai mere yaar ki haansi..
koi to bata de kiske paas hai…???
jaaonga uske paas aur poochoonga…
“ab lauta do mujhe woh `muskurahat’…
jo tumne mere dost se cheeni hai…
kya dushmani thi tumhe mere dost ke saath???
ke mujhe thodi saanse aur leni hai….!!!”
naa jaane kahaan kho gayi hai woh hansi..
jo mere dost ke saath rehti thi kabhi..
aye khuda,, meri fariyaad hai aaj tujhse…
Lauta de ,Lauta de, Lauta de,… woh hansi yaar ki..!!!!
muskurahat kuch chhin si gayi hai mere yaar ki…
ke chehra uska kuch murjhaya sa lagta hai….
jaise chaand ko kami ho gayi ho roshni ki..
jaise suraj bhi andhere mein nahaya sa lagta hai..