Ek hansi jo hansa de,
Ek aansu jo rulaa de,
Ek arzoo jo jagaa de,
Har aahat ko aahat jo jaan le…
Usi rishte ka naam hai…dosti! !!
Bahut azeeb-se lagte ho,
Dur rahkar bhi dil ke bahut karib lagte ho,
Maloom hai tumhe ham pa na sakege,
Phir kyon tum hame hamaare naseeb lagte ho.
Pyaar ke ujaale me gam ka andhera aata kyon hai,
Jisko ham chaahe vahi rulata kyon hai,
Agar vo mera naseeb nahi,
To khuda aise logo se milata kyon hai?
Kar ja kuch aisa yaari me ki,
`Thanks’ aur `sorry’ shabd bejaan lage,
Nibha aisi yaari ko yaaro ki,
Ki tumhe Chodna mushkil aur duniya Chodna asaan lage.
Na pahlu me na bahaaro me, na botal me na jaar me,
Na bike me na car me, na peace me na war me,
Ab to din gujarte hai, tumhare SMS ke intzaar me.
E dost! sharaab se na kar nafarat itni,
Ki peeni pade to pee na sake,
E dost! dost se na kar mohabbat itani ki,
Bichadna pade to jee na sake.
Sitaro ke aage bhi koi jahaan hoga,
Jo na dekha kabhi vo shama hoga,
Us jahaan ke saare haseen najaro ki kasam,
Aap-sa kameena dost doosra kaha hoga.
Agar kabhi ham mar jaaye, to hame jala dena,
Magar pahle hamara dil nikaal lena,
Hame chinta nahi dil jaane ki,
Hame to chinta hai us dil me rahne wale ki.
Aakhon ki jubaan samajh nahi paate,
Hoth magar kuch kah nahi paate,
Apni bebasi kis tarah kahe,
Koi hai jinke bin ham rah nahi paate.
Jeevan me phal paane ke liye,
Sharam karni padti hai,
Ishwar sif lakeere deta hai,
Rang khud hi bharna padta hai.
Dil aisa lagao jo kabhi na hate,
Pyaas aise jagao ki kabhi na bujhe,
Zindagi ka maza aise lo jo kabhi na ruke,
Aur jeevan me aise jeeyo ki kabhi sar na jhuke.
Dil me sanam ki soorat, aakhon me aashqi de…
Dil me sanam ki soorat, aakhon me aashqi de…
Mere khuda mujhe tu… ek aur zindagi de…
Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar du kurbaan yaari,
Jaan ke kiye tod du dosti tumhaari,
Ab tumse kya Chupana… tum hi to ho na jaan hamaari.
Jab tak hamaari soch me kuch faasla na tha,
Vo hamse door hoke bhi hamse juda na tha,
Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha,
Saamne baitha tha mere aur vo mera na tha.
Aarzoo hai unko apna banane ki,
Aas ab bhi hai unke laut aane ki,
Din-raat karte hai intzaar unka,
Ai khuda kuch to silaa mile mujhe vafa nibhane ka.
`Marne’ par hame `swarg’ mile ya na mile,
Ye hawa ye fiza mile ya na mile,
Ai mere dost SMS karne me `kasar’ na karna,
Kya pata `narak’ me `coverage’ mile ya na mile.
Milna to ek bahaana hai,
Irada to aapka ek lamha churana hai,
Aap chaahe hamse baat karo na karo,
Phir bhi aapki yaado me hamara aana-jaana hai.
Aasmaan se uteri hai, taaro se saji hai,
Chand ki chandni se nahaai hai,
Mere dost! sambhaal ke rakhna yah dosti,
Ye meri zindagi bhar ki kamaai hai.
Apni bebasi par aaj rona aaya,
Doosro ko kya maine apno ko aajmaya,
Har dost ki tanhaai door ki,
Lekeen khud ko har mod par akela paaya.
Chand lamho ki zindagi hai,
Nafrato se jiya nahi karte,
Dushmano se hi guzaarish karni padegi,
Ab to dost bhi yaad kiya nahi karte.
– Neha Shah