Dear Diary:
January 5th 2009:
“Kal aisa hi waqt tha
jab hum gum sum say rehthay thay
dil mein hazaar gham chupa kar
kisi ko kuch bi nahi kehtay thay…
Ab sun li hai Rab-ji nay
yeh choti si faryaad humari..
“koi apna aisa zindaggi mein aaye
jo mita kar gham, dayde khushi…”
January 7th 2009:
“Aaj aisa dost mila hai humko
Kaise kahun mein tujhse..
jab bi unka zikr karun
lafz uthar athay hai shayari kay…
Eik aisa rishta jura hai…
Khuda karey, kabhi na tutay!
jaise kaali raath mein achanak roshni chaye
aise hi Woh humsay milay!”
January 15th 2009:
“Jabse dosti hui hai unse
ab hum muskuratay hi rehte hai!!
Ghuzratay hai jab gulshan sai
khushi khushi sab say kehta hai:
“Aisa dost mila hi humko
jo in phoolon say bi khoobsurat hai!!
Rang say barhi hai unki baathay
khushboo hain unki hasi main!!
Chaand sitare chamaktay hai
jab woh eik meethi si ghun gatay hai!!
Aisa dost mila hai humko…
ab kaysay kahun mein tujhse..!!”
January 30th 2009:
“Aisa koi zindaggi mein aaya Tha..
jo kar gaya humsey bewafayi….
daykar do pal ki khushi aur laykar daaman
….chala gaya kahin…”
February 1st 2009:
“Aaj aisa hi waqt hai..
hum gum sum say baythay hai
dil mein eik gham chupa rakha hai…
…..ab kisi ko kya keh sakthay hai?”
* Sumia *