chhod ke jana hi tha to
daaman thama hi kyun tha
hath chhudana hi tha to fir
hath thama hi kyun tha
hum to kehte rahe na uthao
kadam in pagdandiyon pe
bich safar me sath chhodna tha
to kadam badhaya hi kyun tha…
khabar thi tumhe k ye raahein
kitni kathin hain
inme sirf kaantein hin hain
na kahin koi phul hai
par chalna chaha tha tumne
mere sath sanam
ab jab saamne manzil hai
piche mudke dekha hi kyun tha
piche to rote bilakhte log hi milenge
har tarf sirf dard bhare chehre dikhenge
jaante the tum ye sab
oo mere humsafar ye hoga
ab unki iss haalat pe tum
dil me pachchtate kyun ho
jaan ab mere sath se ab
tum ghabrate kyun ho…..????