Aourat ka samman karo mat iska apmaan karo
Ma banke pyar ye deti baise tum bhi pyae karo
Kabhi to yah beti banti kabhi bahen ban jati hai
Maa banke duniya me yeh kitne farz nibhati hai
Ghar ko aourat swarg banati khusiyon se sajati hai
Ghar ki aan maan ki khatir har dukh sah jati hai
Jaan ko apni de deti hai izzat nahi gavati hai
Kabhi sati banke aourat lapto me jal jati hai
Har dukh haskar sahti himmat nahi harti hai
Jisko dil se pyar yeh karti uss par jaan barti hai
Aourat bo phool kamal hai duniya ko mahkati hai
Pyar ke yeh deep jala kar jag roshan kar jati hai
Ab socho aourat sachhi ya sachhi yeh duniya hai
“SAGAR” kahta aourat sab kuch aourat se hi duniya hai.
Compossed and Written by
Bablu “Sagar”
E-mail- sagar_voice@yahoo.com
Mo- +91 97565 54228
India,Nainital