Aaj bheegi hain palken uski yaad mein ,
aansu bhi simat gaye apne aap mein,
oos ki boonden bikhri hain zameen par,
mano chandni bhi royi ho uski yaad mein…..
*****************************************
kabhi palkon pe ansu hain kabhi lab pe shikayat hai,
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se muhabbat hai,
jo aata hai wo jata hai, ye duniya aani jaani hai,
yahan har shay musafir hai safar mein zindagani hai,
ujalon ki zarorat hai, andheera meri qismat hai,
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se mohabbat hai,
zara ay zindagi tham le tera dedaar tu kar lon,
kabhi dekha nahi jis ko osay main pyar to kar lon,
abhi se chor k mat ja abhi teri zarorat hai,
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se muhabbat hai,
koi anjaan sa chehra ubharta hai fizaon mein,
ye kis ahaten jagi meri khamosh rahon mein,
abhi ay mout mat aana mera thikana jannat hai
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se muhabbat hai