hazar daagh e tamanna hazar dagh e firaq

hamesha zakhmo’n se dill ko nighar khana kiya

tamam umr safar mai guzar di hamm ne

kahee’n qayam na hamm ne kahee’n thhikana kiya

dill aaya jiss pe usee par luta di jaan e aziz

k zinda hamm ne mohabbat ka ye fasana kiya

hamesha aankho’n se meri lahoo tapakta raha

meri wafa ka kisi ne bhi haqq ada na kiya

mili hai khoo ye wirasat mai ai zafar hamm ko

k jiss se pyar kia hamm ne walehana kiya