hai duaa yaad mager harf-e-duaa yaad naheen

merey naghmaat ko andaz-e-nawaa yaad naheen

hum ne jin ke liye rahoon main bichaya tha lahoo

hum se kehtey hain wohi ehd-e-wafa yaad naheen

zindagee jabr-e-musalsal ki terha kaati hai

janey kis jurm ki pai hai saza yaad naheen

main ne palkoon se der-e-yaar peh dastak di hai

main woh saa-il hoon jisey koi sadaa yaad naheen

kaisey bher aain ser-e-shaam kisi ki aankhain

kaisey theraaii charaghoon ki zayaa yaad naheen

sirf dhundlaye sitaroon ki chamak daikhee hai

kab hua kon hua mujh se khafa yaad naheen