Zulm Par Bas Aasoono Ki Tarah Se Bah Jaiye,
Ghoot Pe Kar Zahar Ka Khamosh Hi Rah Jaiye.
Gair Ke Ghar Aap Jaye Shok Se Soo Bar,
Haan Magar Ek Bar To Apna Mujhe Keh Jaiye.
Doobne Walo Ko Hasrat Se Kabhi Na Dekhiye,
Ittefakan, Aap Saahil Par Agar Rah Jaiye.
Pyar Ke Gam Mein, Khud Apne Aasoonoki Dhar Mein,
Aap Bhi Kacche Makano Ki Tarah Beh Jaiye.
Saath Chalkar Do Kadam Sab Chode Dete Hain Yahan,
Ranj Kya Rahi Agar Tanha Kabhi Rah Jaiye