Zindgi Mere Bistar Ki Vaishya Ho Jaaye
Meri Dua Kubul Ho To Kya Se Kya Ho Jaaye
Na Ranj Rahe Marne Ka,Na Taqazaa-E-Ulfat Rahe
Bewafai Bhee Bewafa Se Wafa Ho Jaaye
Zindgi Mere Bistar Ki Vaishya Ho Jaaye
Mere Naam Ka Jikr Her Mehfil Mein Sar-E-Shaam Ho Jaaye
Mera Maqbul Jikr Her Gali Mein Charcha-E-Aam Ho Jaaye
Khuda Jo Teri Khudai Meharbaa Ho Jaaye
Zindgi Mere Bistar Ki Vaishya Ho Jaaye
Main Dil Jeetne Ke Hunar Ko Apna Fun Qaraar Dun
Paimana-E-Haqeeqat Mein Apne Khwaab Utaar Dun
Manjur Jo Meri Ye Iltizaa Ho Jaaye
Zindgi Mere Bistar Ki Vaishya Ho Jaaye
Meri Khamoshi, Meri Adaa Meri Juba Ho Jaaye
Main Dekhun Jo Rasta Wo Kehkashaan Ho Jaaye
Main Jaaun Jiss Jagah Wo Maikada Ho Jaaye
Zindgi Mere Bistar Ki Vaishya Ho Jaaye
Main Jaaun Jidhar Bhee Mujhko Pyaar Mile
Mere Lafzon Ko Aashiqi Ka Sa Khumaar Mile
Karan Kahe Or Mehfil Mein Wah Wah Ho Jaaye
Zindgi Mere Bistar Ki Vaishya Ho Jaaye