Zindgi Ke Tasawur Ki Zebaai Tera Khayaal‚ ‚  (Tasavvur—Imagination)
Mehfilon Ke Beech Bhee Tanhai,Tera Khayaal‚  (Zebaai— Make Up,)
Mushkilon Ki Tez Dhup Mein Pighalta Mera Wajud
Aise Mein Mujhpe Abr Ki Parchaayi, Tera Kahyaal
Soti Ho Hasraten Or Khwahishen Hon Jaar Jaar
Aise Mein Zindgi Ki Angdaai Tera Khayaal
Hai Zabt Sakht Khud Pe,Na Chaahenge Kissi Ko Hum‚  (Zabt—Cantrol)
Katl Ho Gaye Sanam Ke Tabaahi, Tera Khayaal
Mere Liye Kuda Ki Ibadat Tera Hi Naam
Mere Liye Khuda Ki Khudaai, Tera Khayaal
Maiyat Si Utth Rahi Hai Jism-E-Karan Mein Roz
Janaaze Mein‚  Mere Saaz-E-Shehnaai, Tera Khayaal
Zindgi Ke Tasawur Ki Zebaai, Tera Khayaal