Zindgi Jab Kabhi Meri Roti Rahi Hai
Ek Khalish Si Is Dil Mai Hoti Rahi Hai
Tere Baare Mai Socha Jab Kabhi,
Aankho Mai Nami Hoti Rahi Hai
Jab Tanhaayiyo Ka Daura Kiya Hamne
Mehsus Teri Kami Hoti Rahi Hai
Tere Naam Se Juda Kuchh Bhi Nahi Mere Paas
Apni Parchhaiyo Se Bhi Dushmani Hoti Rahi Hai
Hasadkhor Hai Fitrat-E-Insaan Yaha
Saanse Bhi Aadmi Si Hoti Rahi Hai
Hamne Barsaaye Aasmaan Aankho Se,
Registaan Si Dil Ki Zami Hoti Rahi Hai.
Zinda Rah Sake,Tume Hamnafas Bana Liya Hamne
Hamse Hawaayen Bhi Sahmi Si Hoti Rahi Hai
Umrabhar Chalta Raha Rahgujar Par Teri Rahnuma Ban Ke
Manzil-E-Ishq Bhi Tere Shahar Mai Sarzami Si Hoti Rahi Hai
Beshak Zindgi Ka Nasha Ab Ho Gaya Hamko
Nazar Aap Ki Kuchh Maikashi Si Hoti Rahi Hai
Ab Tak Jita Tha Mai ,Apni Laas Kandho Pai Apne Dhho Kar
Yaade Kaafi Hai Jine Ke Liye Zindgi Kuchh Zindagi Si Hoti Rahi Hai