Zindagii Teri *Mauj-E-Khoon Pe Chalti Rahi Hoon Main
Tere *Nok-E-Khaar Teeron Se Ladti Rahi Hoon Main
Dost Dost Nahin Tau Kya, Apne Apne Nahin Tau Kya
Saaya Bhii Mera Saath Nibhaaye Nahin Tau Kya
Insaaniyat Kaa Dum Hee, Bharti Rahi Hoon Main
Meri Manzil Ik Diye See Dikhaayi Deti Hai
Raat Mein Raushan Sehar Dikhaayi Deti Hai
Har Imtehaan Mein Aag See, Badhti Rahi Hoon Main
Mere Dil Tak Pahunch Kar, Woh Mujhse Ruuthaa
Usko Nahin Pata Ki Mujhmein Kya Kya Hai Tuuta
Dard Ban, Sholon Mein Pighalti Rahi Hoon Main
Dariya Nahin, Pyasa Dil, Ik Qatra Chahta Hai
Mujhmein Bhi Hai Koyi, Jo Jeena Chaahta Hai
Yeh Kya Ki Ashqon Kaa Jashn Karti Rahi Hoon Main
Uske *Lazzat-E-Dar Se Na Karna Mehroom Mujhe
Dekho Har Roz Ik Naya Sadma Dena Tum Mujhe
Har Aas Ladhkhadaayi, Par Nikharti Rahi Hoon Main
Mauj-E-Khoon = Bloody Waves
Nok-E-Khaar = Thorn Filled Tip (Here It Means Obstacles In Life)
Lazzat-E-Dar = Joy Of God’s House (Mandir, Masjid, Church)