Zindagi Teri Talkh Yaadon Ka Shumaar Bahut Hai
Manzil-E-Maqsud Yeh Meri Bal Daar Bahut Hai
Naseem-E-Subha Se Kaho Mere Baalon Se Na Khele
Lagtaa Hai Teri Tarah Yeh Bhi Ayaar Bahut Hai
Hamaari Hotin Tau Hum Luta Dete Kab Ki
Magar In Dhadhknon Pe Tera Ikhtiyaar Bahut Hai
Hamein Bhi Yeh Mayus Chehra Kahan Bhata Hai
Kaise Kahein Yeh Masafat Dil Azaar Bahut Hai
Bawjud Koshish Paimaane Chalak Hi Jaate Hain
Kya Karein Ke Chashm-E-Gauhar Baar Bahut Hai
Yeh Gile-O-Shiqwe-O-Taqraar Maana Hain Sab Baja
Lekin Sach Hai Ye Bhi Ki Tujhse Pyaar Bahut Hai
Hai Numaayaan Mujhpe Har Soz-E-Nihaan Tera
Aur Ayaan Hai Yeh Bhi Tuu Ada Kaar Bahut Hai
Ab Ke Lahu Chaahiye Ke Bus Jaan Hi Hai Kaafi
Tere Shiriin Labon Ki Wajah Pe Aitbaar Bahut Hai
Rukhsati Pe Sahi Tu Muskura Ke Palata Thaa
Aaj Bhi Wo Lamha Khushgwaar Bahut Hai
Hoga Koyi Saudaayi -Ë—paras-‘ Sa Be-Nazir
Jiske Tishna Labon Ko Sharbat-E-Didaar Bahut Hai