Zindagi Se Zindagi Takraati Hai Kabhi Kabhi
Raha Chalte Hadase Mohbbat Ke Hote Hain Kabhi Kabhi
Socha Anjaam Ke Baare Mein Toh Tera Khyaal Aaya
Tu Bhi Vaada-E-Mohabbat Ki Kasam Nibha De Kabhi Kabhi
Yeh Ishq‚  Ka Dard Dawa Bhi Ban Sakata Hai
Mere Ehsaaso Ko Mesus Kare Kabhi Kabhi
Likh To Du Apni Ghazalo Mein Naam Uska Dar Hai Ruswaai Ka
Zikar Ho Jaata Hai Phir Bhi Unka‚  Kabhi Kabhi
De Kar Zakham Woh Khud Bhi Dard-E Dil Ke Maare Hain
Yeh Raaz Unki Nazaro Ne Chalkaaya Hai Kabhi Kabhi
Tanha Hai Safar Aur Manzil Hai Khud Musafir
Koi Toh Haath Thamega Mera Yun Hi Kabhi Kabhi